|
Hai Murtaza mushkil kusha,
shere Khuda maara gayaa
Maula maula Haider (a.s.) maula (x2)
Gibreel-e-ameen dete hai sadaa
Maula maula Haider (a.s.) maula (x2)
Roze me lahoo sajde me bahaa
Maula maula Haider (a.s.) maula (x4)
Ye kaisi sahar ayi ya Rab
Tar khoon me huwaa hai shahe arab (x2)
Karte hai namaazi aaho bukaa
Maula maula Haider (a.s.) maula........
Awaaze azaan hai nawha kunaa
Karte hai farishte aho fughaan (x2)
Hai masjide Kufa ka nawha
Maula maula Haider (a.s.) maula........
Tu ne bine muljim zulm kiya
Daamaad e Mohammed (s.a.w.) ko mara (x2)
Markad me tarap ti hai Zahra (s.a.)
Maula maula Haider (a.s.) maula........
Din eid ke the nasdeeq abhi
Kyun tegh-ejafaa Haider (a.s.) pe chalee (x2)
Kaabe me bichaa hai farshe azaa
Maula maula Haider (a.s.) maula........
Taaboot chalaa jab maula ka
Ek shor e qayaamat thaa barpaa (x2)
Karte the parinde bhi giriya
Maula maula Haider (a.s.) maula........
Kehte hai Husein mere aansoon
Ab dil pe nahin mere qaabu (x2)
Rehan bhi ro ker hai kehta
Maula maula Haider (a.s.) maula........
Hai Murtaza mushkil kusha, shere Khuda maara gayaa
|