Wording
SARWAR(a.s) Ka Ye Nawha Thaa
poet: Dr Majid Raza Abidi

Ya Hussayn (a.s.) ya Hussayn (a.s.) tanha Hussayn (a.s.) tanha Hussayn (a.s.) (x2)

Sarwar ka ye nawha tha me tanha hoon amaa (x2)

Tum apne bete ko agosh me lo aakar
Agosh me lo aakar
Bahon ko phela do me aata hoon amaa
Sarwar ka ye nawha tha me tanha hoon amaa (x2)

Akbar bhi gayaa maaraa Asghar bhi gayaa maaraa
Asghar bhi gayaa maaraa
Abbas bhi chhor gaye me tanha hoon amaa
Sarwar ka ye nawha tha me tanha hoon amaa (x2)

Baba bhi aa ponche Nana bhi aa ponche
Nana bhi aa ponche
Wo ashq bahaa te hai me rota hoon amaa
Sarwar ka ye nawha tha me tanha hoon amaa (x2)

Har zulm pe ay amaa bas sabr kiya mene
Bas sabr kiya mene
Aakhir ko tumhara hi me beta hoon amaa
Sarwar ka ye nawha tha me tanha hoon amaa (x2)

Asghar bhi pyasa hai pyasi hai Sakina bhi
Pyasi hai Sakina bhi
Bachon ki sadaa sun kar khoon rota hoon amaa
Sarwar ka ye nawha tha me tanha hoon amaa (x2)

Majid sare karbobala ye gunjta hai nawha
Ye gunjta hai nawha
Kehta he jaise Husein me pyaasa hoon amaa
Sarwar ka ye nawha tha me tanha hoon amaa (x2)

 

go back to Home Page
Copyrights © 2008-2009 huseinvirji.com - All Rights Reserved.
1024 X 768 Pixels + Internet Explorer7+