|
Haye Haye Qassim, Haye Haye Qassim (x3)
Ay ibne Hassan (a.s.), Ay ibne Hassan (a.s.)
Haye Haye Qassim, Haye Haye Qassim (x3)
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x3)
Sehre ki jagaa nawha (x2) shaadi me parhaa jaaye
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)
Qaasim teri shaadi ka manzar hai ajab manzar
Mehndi hai lahoo waali sehraa hai lahoo me tar
Aisi to koi shaadi, haye
Aisi to koi shaadi dekhi na suni haaye
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)
Sehra tera ashqon se behno ne sajaayaa thaa
Quraan ke saaye me jab dulha banaayaa thaa
Mehdaan se tum waapas, haye
Mehdaan se tum waapas tar khoon me ghar aaye
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)
Paamaal huwaa laashaa maqtal me teraa aise
Shabbir teraa laashaa daaman me chunne kaise
Bikhre huwe laashe ko, haye
Bikhre huwe laashe ko kis tarha oothaa paaye
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye (x2)
Armaan thaa Zainab ka Shabbir ki hasrat thi
Farwa ki thamanaa thi Sughra ki bhi chaahat thi
Quraan ke saaye me, haye
Quraan ke saaye me baaraat teri jaaye
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye
Sab khaak huwe armaan miti me mili chaahat
Tooti hai sar-e-maqtal Shabbir pe ye aafat
Tukde teri mayat ke, haye
Tukde teri mayat ke daaman me ootha laaye
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye
Rehan sare maqtal shabbir ka nawha thaa
Ay ibne Hassan (a.s.)mujse oothaa nahin gham teraa
Dil meraa issi gham se, haye
Dil meraa issi gham se tukdon me bataa jaaye
Allah kisi ma ko ye waqt na dikhlaaye
Ay ibne Hassan (a.s.), Ay ibne Hassan (a.s.)
Haye Haye Qassim, Haye Haye Qassim (x3)
|