JAB TAK DAR-E-ZAHRAas
poet: Dr Majid Raza Abidi
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota (x2)
Kashti ke liye...
Kashti ke liye koi kanaraa nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
Jo Panjetan e paak ki ulfat rake dil me (x2)
Wo chaand huwa...
Wo chaand huwa karta hai taaraa nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
Hai col e Nabi jo meri itrat ka hai gustaakh (x2)
Wo ghair ka...
Wo ghair ka hota hai hamaara nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
Ye sajde dare Sayyeda ko bech ke dekho (x2)
Iss nafe ke...
Iss nafe ke sode me khasaara nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
Jab tak na lage naara e Haider sar e mehfil (x2)
Mehfil me...
Mehfil me malango ka guzaaraa nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
Hota na agar ooswaye aulaad e Payambar (x2)
Quran to kyaa...
Quran to kyaa ek bhi paaraa nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
De dete fidak Fatema Zahra ko jo waapas (x2)
Ye haal...
Ye haal musalmaano tumharaa nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
Be hube Ali gar che kinaaraa bhi ho Majid (x2)
Dhokaa hai wo...
Dhokaa hai wo aankhon ka kanaaraa nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota
Kashti ke liye...
Kashti ke liye koi kanaraa nahin hota
Jab tak dar e Zahra ka isharaa nahin hota