LA ILLAHA ILALLAH
poet: Dr Majid Raza Abidi
La illaha ilallah (x2)
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah (x2)
Jahaan Hussain wahaan la illaha ilallah
Azaan me Ali Akber ne la illah kahaa (x2)
To aaj tak hai jawaan la illaha ilallah
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah
Pataa khuda ka bataa te agar na Aal e Nabi (x2)
Azaan me hota kahaan la illaha ilallah
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah
Ali ye kehte the bachna hai meri tegh se gar (x2)
To phir hai shart-e amaan la illaha ilallah
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah
Ali ko dil me basaa kar to dekh ay waiz (x2)
To khud kahegi zabaan la illaha ilallah
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah
Agar wilaayat e Haider nahin hai kalme me
To phir hai wehm-o-gumaan la illaha ilallah (x2)
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah
Koi jo puche ke Shabbir ka hai matlab kyaa
To me ye dungaa bayaan la illaha ilallah (x2)
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah
Ye bezabaani-e Asghar ka mojiza dekho
Hai sab ke virde zubaan la illaha ilallah (x2)
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah
Dar e batool nahin jal rahaa thaa ay Majid
Wo ho rahaa tha dhooan la illaha ilallah (x2)
Na dhundiye hai kahaan la illaha ilallah