MUNAAJAAT SAYYEDA ZAINABsa
poet: Dr Rehan Aazmi
Hai dua-on ke talabgaar, ye zawaar tere
Sar ko chokhat pe, jukhaaye hai azaadaar tere
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x5)
Isteghasa tere darbaar me hai ya Zainab
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x2)
Kuch tamanna-e duayen bhi yahaan laye hai
Ham azadar tere jholiyan phelaye hai
Gham ke mare huwe chokhat pe teri aye hai
Chahiye hamko tere bhai ka sadka Zainab
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x2)
Isteghasa tere darbaar me hai ya Zainab, Waris-e-farshe azaa.....(x2)
Wo jo bimaar hai de unko shifa ki soghaat
Baad Allah ke sunti hai gharibo ki jo baat
Misle Haider hai zamane me faqat teri hi zaat
Baat karti hai teri kaam dawa ka Zainab
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x2)
Isteghasa tere darbaar me hai ya Zainab, Waris-e-farshe azaa.....(x2)
Tangiye rizq hai nadari hai bekaari hai
Ek ek lamha ghulamo pe tere bhari hai
Bas teri yaad hai aur sheh ki azadari hai
Wusate rizq ka darkaar hai nuska Zainab
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x2)
Isteghasa tere darbaar me hai ya Zainab, Waris-e-farshe azaa.....(x2)
Wo jo aulaad ki daulat se hai mehroom abhi
Godiyan unki bhi bhar de tu Ali ki beti
Jis tarha bhai ne rahib ki dua sunli thi
Tera rutba bhi hai Shabbir ke jaisa Zainab
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x2)
Isteghasa tere darbaar me hai ya Zainab, Waris-e-farshe azaa.....(x2)
Betiyo ke liye jisko abhi rishta na mila
Bewaa-e Qasim-e nawshaah ka dede sadka
Aqd unka ho dua se teri hasbe man sha
Unke sarpe ho saja phoolon ka sehra Zainab
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x2)
Isteghasa tere darbaar me hai ya Zainab, Waris-e-farshe azaa.....(x2)
Tere roze ki ziyarat ke talab gaar hai jo
Meri shehzadi unhe izne ziyarat dedo
Bibi mayoos na kar roti huwi aankhon ko
Tere dar se koi sail nahin lota Zainab
Waris-e-farshe azaa saaniye Zahra, Zainab (x2)
Isteghasa tere darbaar me hai ya Zainab, Waris-e-farshe azaa.....(x2)
Tera zakir hai Husein aur ye Rehan-e aza
Nawha likhna ho ya parhna ho tere bhai ka
Inki awaaz o kalam ko ho ata wo jasba
Jo bhi sunle wo kahe sadka hai tera Zainab